Tuesday, May 14, 2019

Sehri Kab Tak Kar Sakte Hain Roza Kab Band Karna Chahiye Sehri Ka Waqt Kab Tak Rahta Hai Sehri Kab Tak Ki Ja Sakti Hai

Roza Kab Band Karna Chahiye Sehri Kab Tak Karna Chahiye


Aaj Sehri Ka Waqt Kya Hai Sehri Ka Waqt  



sehri ka waqt kab se shuru hota hai sehri ka waqt kab tak rahta hai
Sehri Ka Time Kab Tak Hai Sehri Ka Last Time Kya Hai Azan K Waqt Sehri Khana


Sehar Me Fajar Ki Azan Hote Hi Khana Rok Dena Chahiye


Sehri Ka Waqt Kab Tak Hota Hai Sehri Ka Time Kab Tak Hota Hai 


Jab tak Fajar ki azan nahi ho jati tab tak sehri ki ja sakti hai. Fajar ki azan jab hoti hai exactly usi waqt sehri ka waqt khatam ho jata hai. Fajar ki azaan ka jo bhi time hai to aap tab tak Sehri kar sakte hain misal k taur par agar Fajar ki azan ka waqt 3:45 AM par hai to aap exact azan hone se pehle sehri kar sakte hain jab azan ho jayegi to phir Sehri ka waqt khatam ho jata hai. fajar ki azan jab di ja sakti hai tab tak sehri ki ja sakti hai.

Sehri Ka Akhri Waqt Today Sehri Ka Akhri Time Today


Aap S.A.W.W kay zamany mein umm e maktoum yani sehr mein uthane ke liye bhi azan hoti thi to aap Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab umm e makhtum azan de to khana mat roko han lekin jab Bilal R.A azan de to khana rok do kyon ki Fajar ki azan usi waqt di jati hai jab sehri ka waqt khatam ho jata hai lekin agar koi shakhs us waqt apne mun koi niwala dalay hue ho aur azan ho jaye to niwalay ko mun sey bahir mat nikale balky kha le aur phir baad mein khana band kar day.

Karachi Sehri Ka Waqt Today Lahore Roza Band Hone Ka Time Today Roza Band Karne Ka Time Today


Jab Aap S.A.W.W kay zamany mein Hazrat Bilal R.A azan dete thy jo kay fajar kay bilkul shuruat par dete thy us waqt aap farma rahe hain tab tak khana na roko jab tak bilal azan na de aur bilal ki azan bhi sun lo niwalay ko achanak na phenk do balkay jo hath mein hai usko kha kar saaf kar lo. Misal kay taur par azan ho rahi hai 3:45 AM par aur yehi akhri waqt hai aur fajar ka awwal waqt hai jo kay sehri ka akhri waqt hota hai aur apke hath mein niwala tha to is niwalay ko aap kha sakte hain mun ko saaf kar sakte hain itna apko ijazat tab bhi hai itni ijazat aap S.A.W.W ne di hai.

Azan ke sath Sehri Kha Sakte hain? 

Eating Sehri while Azan. kia azan k hote huwe sehri kha sakte hain ya ruk jana chahiye?


Sehri aur Iftari Ke Masail سحری کا آخری وقت


Sehri khanay mein barkat hai neend say uth jane ke baaad jan bojh kar sehri tark nahin karni chahiye.


Hazrat Anas R.A se riwayat hai k Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya : Sehri khao kyon ki sehri khanay mein barkat hai isay Imam Bukhari aur Imam Muslim ne riwayat kiya hai.

Sehri Ka Waqt Kab Se Shuru Hota Hai

Ramzan ul Mubarak mein fajar ki azan se pehle sehri ke liye azan dena sunnat hai yani sehri ke liye jagane ko jo azan di jati hai sehri ka waqt batane ke liye to wo azan bhi di ja sakti hai.


Hazrat Ayesha R.A se riwayat hai kay Hazrat Bilal R.A raat ko sehri say qabal azan de diya karte thy chanacha rasool Allah S.A.w.w ne farmaya us waqt tak khao piyo kay jab tak kay ibn e umme maktoum isliye ibn e umme maktoum us waqt tak azan nahi dete jab tak fajar na ho jaye isay Imam Bukhari aur Imam Muslim ne riwayat kiya hai.

Roza Kab Band Hota Hai Sehri Band Karne Ka Time


Iftar mein jaldi karna aur sehri mein dair sey khana ambiya e akaraam ka tarika hai yani sehri mein jaldi nahin karni chahiye kay raat ko 12 bajay kha kar so jayen


Sehri khatay hue agar azan ho jaye to khana foran chorne ki bajaye jaldi jaldi kha lena chahiye yani ek dam khana chorna nahin chahiye


Hazrat Abu Huraira R.A say riwayat hai kay Rasool Allah S.A.W.W ne farmaya kay jab koi admi azan sunay aur peenay ka bartan uskay hath mein ho to usay foran na rakh day balkay apni zarorat puri kar le.


Yani agar sehri khanay kay akhir mein pani ya chaye ka cup apke hath mein ho to azan sunte he foran pee lain lekin aisa hargiz na karen kay ek glass pe lene k baad ek aur pani ka glass bhar lain.

Sunday, May 5, 2019

Ramzan K Pehlay Ashray Ki Dua In Arabic Ramzan K Pehle Ashra Ki Dua In Urdu Dua For First 10 Days of Ramadan In English

Ramadan Ke Pehle Ashre Ki Dua Ramzan K Pehle Ashray Ki Dua In Hindi



  • رمضان المبارک کے پہلے عشرے کی دعا ماہ رمضان کی دعائیں



Ramzan Ke Pehle Ashre Me Padhne Ki Dua Ramzan Ul Mubarak 2019 Pakistan



ramadan dua for first 10 days in hindi ramadan dua 1st 10 days
Ramzan K 1st Ashra Ki Dua Ramadan Kareem First Ashra Dua Pehlay Ashray Ki Dua In Arabic Text

Rozay Ki Halat Mein Biwi Ko Kiss Karna aur Humbistari Karna Kesa Hai?

Ramzan Kay Dosray Ashray Ki Dua in Arabic with Urdu Translation