Itikaf Kay Masail aur Sawab
Ramzan Mein Itikaf Ki Fazilat Itikaf Kitne Din Ka Hota
Hai
|
itikaf Ka Matlab itikaf Kya Hai in Urdu
Itikaf k lughvi maani thehrne k hain islami istalah mein duniya k tamam kaam aur karobar chor kar Allah Taala ki ataat aur uski raza hasil karne k liye ramzan shareef k akhri ashra mein masjid k aik kona mein bethne ko itikaf kehte hain. Nabi Sallaho Alaihe Wa Alihi Wasallam har saal 10 din itikaf kiya karte thy wisaal wale saal Aap Sallaho Alaihe Wa Alihi Wasallam ne 10 din ki bajaye 20 din itikaf farmaya (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Sahiheen, Mutafqan Aleh)
Itikaf mein kasrat e nawafil, tilawat e Quran e Majeed, Zikr e ilahi aur Darood shareef parhne mein mashgool rehna chahiye. Itikaf ki bari fazeelat i hai. Aap Sallaho Alaihe Wa Alihi Wasallam ka irshad hai jis ne 10 din itikaf kiya usko 2 Hajj aur 2 Umrah ka sawab milega. (Bayhaqi)
Itikaf karne wala bagair kisi majburi k masjid se bahar na nikle albata qaza e hajat aur namaz e jumma k liye nikalna jaiz hai. Mard ki tarah aurat bhi masjid mein itikaf beth sakti hai. Moatkif 21 ramzan ul mubarak ko subah ki namaz parh kar itikaf wali jagah mein dakhil ho aur chand dekh kar bahar nikle.
Aurtain Bhi Masjid He Mein Itikaf Bethen Itikaf Ka Tarika In Urdu For Females
Itikaf Ka Tarika Aurat K Liye In Urdu Khawateen Ka Itikaf Ka Tarika In Urdu |
Tarjuma:- Jab tum masajid mein itikaf bethe ho auraton se mubashrat na karo.
Hanafiyon k mashoor molvi Muhammad Zakariya Kandhlawi raqamtaraz hain.
" Aurat k liye apne ghar mein itikaf karna chahiye. (Fazail e Ramzan)
Molana Rifat Qasmi Mudarris Darul Uloom Deoband Muarf Alhadees jild no.1 safah no. 119 k hawala se likhte hain.
"Azwaj e Mutahirat apne hujron mein itikaf farmati thin aur khawateen k liye itikaf ki jagah unke ghar hain unke ghar wahi jagah jo unhon ne namaz k liye muqarrar kar rakhi ho. Agar ghar mein koi khas jagah muqarir na ho to itikaf karne wali khawateen ko aisi jagah muqarar kar leni chahiye.
Imam Muhammad Bin Ismail Bukhari R.A Al Mutufi ne apni kitab Sahih Bukhari jild no.1 safah no. 172 par aik baab bayen alfaz munaqid kiya hai.
Yani ramzan ul mubarak k akhri ashra mein itikaf bethne ka bayan aur ye k tamam jamya masajid mein itikaf ho sakta hai kyon ki irshad e baari taala hai.
" Aur tum jab masajid mein itikaf betho to raat ko apni auraton se mubashrat na karo ye Allah Taala ki hadain hain inke qareeb bhi na jana Allah Taala isi tarah apni ayaat logon se bayan farmata hai takay log Taqwa ikhtiyar karen.
(Baqiya Hashiya)
(Mukamal o Mudlil Masail e itikaf safah 25) Allama Alim Faqri Hanafi raqamtaraz hain.
" Auraton ka itikaf ghar mein hoga masajid mein nahin " (Rohani Itikaf Safah 20)
Baaz Ahl e Hadees ulma ne bhi auraton ko apne gharon mein itikaf bethne ki ijazat de rakhi hai jesa k tajaliyat e ramzan mein 125 par marqoom hai.
"Note: Auraten badstaoor gharon mein itikaf karen."
Mahanam Sirat e Mustaqeem Birmingham Bartaniya jild no.13, shumara 4, safah 23 par marqoom
16: Auraton k liye gharon mein itikaf karna afzal hai.
Faida jaleela:-
Is se saaf zahir hai k agar itikaf masjid k ilawa kisi dusri jagah bhi jaiz hota to Quran e Majeed mein ye masala bayan na kiya jata k masjid mein itikaf k waqt mubashirat mana hai kyon ki ye itikaf k munafi hai is se maloom hua k itikaf masajid mein he hota hai.
Fatah ul Bari jild 4 safah 319 umdah tul qari jild no. 5 safah 373 aur qustalani jild no.1 safah no. 227 k mutabiq Bukhari Shareef k tarjuma Al Baab se Imam Muhammad bin Ismail R.A Bukhari Al Matufi ki gharz ye hai kay: itikaf k sahih hone ki manmjila dusri mtalooba sharait k aik lazmi sharat masjid bhi hai aur ulma e karam ka is par itefaq hai. Isiliye Rasool Allah Sallaho Alehi Wa Aalhi Wasallam ne apni zindagi mein har saal ramzan ul mubarak mein he itikaf kiya hai. Aik martaba kisi safar ki wajah se choot gaya to agle saal 20 din itikaf farmaya, ghar mein aik martaba bhi itikaf na kiya.
Itikaf Jamia Masjid Mein Masnoon Hai
Hadees ka tarjumaAl Jamiya Al Shoaib il imaan jild no.7 safah no. 521, raqam 3676, Abu Dawood jild no.1 safah no. 342 Mishkat jild no.1 safah 183
Umm ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa R.A farmati hain Sunnat e Nabwi S.A.W.W yehi hai k itikaf nahi hota magar jamiya masjid mein.
Hazrat Ali R.A ne farmaya k itikaf nahi hota magar jamia masjid mein.
Al Hasil:- Is mein koi shak nahi k Amma Aisha Siddiqa R.A k farman ko Usool e Hadees ki ru se bil itefaq Muhaddiseen Azaam marfu hadees ka darja hasil hai jesa k hashiya mein wazahat kar di gayi hai goya k Rasool Allah S.A.W.W ne khud farmaya hai k " Nahi itikaf magar jamia masjid mein" Jamia masjid wo hai jis mein 5 waqt ki namaz bajamaat ka ehtamam ho bas aisi masjid mein itikaf karna masnoon hai.
Ummhat ul Momineen Ka Masjid Mein Itikaf Woman Itikaf Rules For Females In Urdu
Umm ul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa R.A se riwayat hai k beshak Nabi S.A.W.W ne itikaf kar irada kiya. Jab masjid mein itikaf ki jagah pohnche to wahan kayi khemy lage hue dekhe ye khemy Hazrat Hafsa R.A aur Hazrat Zainab R.A k khemay thy. Nabi S.A.W.W ne farmaya, tum is mein in ki neki samjhti ho phir Aap S.A.W.W wapis chale gaye aur itikaf nahi bethe yahan tak k shawwal k ashre ka itikaf kiya.
Hazrat Ayesha Siddiqa R.A. se riwayat hai k Rasool Allah S.A.W.W Ramzan k akhri ashra mein itikaf karte thy main aap k liye Masjid mein khaima laga deti to Aap S.A.W.W 21 ramzan ko fajar k baad is mein tashreef le jate Hazrat Hafsa R.A ne Hazrat Ayesha Siddiqa R.A se apne liye khema lagane ki ijazat mangi unhone ijazat de di to Hazrat Hafsa R.A ne bhi masjid mein apne liye aik khaima laga liya jab Hazrat Zainab R.A ne dekha to unho ne bhi khaima laga liya.
Jab Rasool Allah S.A.W.W ne subah ki namaz parh kar itny khemy dekhe to farmaya ye khemy kis liye hain? Aap S.A.W.W ko bataya gaya to Aap S.A.W.W ne farmaya k tum isay inki neki samjhti ho yani ye to tum dekha dekhi kar rahi ho chanacha Aap S.A.W.W ne is mahine itikaf chor diya aur phir Shawwal k ashra ka itikaf kiya. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)
Hafiz Ibn e Hajar R.A aur Allama Aini R.A Ka Fesla
Shareh Bukhari Imam Ahmed Bin Ali R.A bin Hajar Asqalani R.A Al Matufi aur Allama bin Ahmed Aini Al Matufi raqamtaraz hain.
Mazkura bala hadees sahihah is iski sharah se roz e roshan ki tarah ayan hai k sehat e itikaf k liye masjid sharat hai warna Aap S.A.W.W apni Azwaj e Mutahirat R.A ko masjid mein itikaf ki ijazat he na dete, kyon ki auraton ko to gharon mein bhi parday ka hukam hai pas agar sehat e itikaf k liye masjid mein theharna sharat na hota to Aap S.A.W.W apni Azwaj e Mutahirat R.A ko ko kabhi bhi masjid mein itikaf ki ijazat ne dete aur na phir inke tarz e amal ki bina par inhen mana he karte balke farmate k tumhare liye yehi kafi hai k tum apne apne gharon mein itikaf betho.
Imam e Novi R.A Ka Faisla
Shareh Muslim Imam Yahya R.A. Bin Sharaf Novi Al Matufi raqamtaraz hain yani ye Ahadees is baat ki wazeh daleel hain k itikaf masjid k ilawa kisi dusri jagah sahi nahi kyon ki Nabi Kareem S.A.W.W aur Aap S.A.W.W ki Azwaj e Mutahirat R.A. aur Sahaba e Karam R.A. masjid mein he itikaf kiya karte thy halanky masjid k iltizam mein kafi diqqat ka samna hota hai. Agar ghar ki masjid mein itikaf jaiz hota to Sahaba e Karam R.A aik dafa zaror aisa karte khas tor par auraten to gharon mein itikaf kartin kyon ki mardon ki ba nisbat aurten gharon mein itikaf ki zyada zaroorat mand thin.
Aur ye jo hum ne zikar kiya hai k sehat e itikaf k liye masjid shart hai iske ilawa kisi dusri jagah itikaf sahi nahi hai ye Imam Malik R.A, Imam Shafi R.A, Imam Ahmad R.A, Imam Dawood R.A aur Jamhoor e Muhaddiseen Azam R.A waghera ka mazhab hai is mein mard aur aurat dono barabar hain.
Umm ul Momineen Umme Salma R.A Ka Rasool Allah S.A.W.W Kay Sath Masjid Mein Itikaf
Hazrat Ayesha Siddiqa R.A farmati hain k Rasool Allah S.A.W.W k sath aap ki biwiyon mein se aik aurat Sunan Saeed R.A bin Mansoor R.A ki riwayat k mutabiq Hazrat Umm e Salma R.A ne Halat e Istihaza mein itikaf kiya isay kabhi surkh aur kabhi zard khoon ata tha aur khoon ki kasrat ki wajah se basa auqat hamen uske neeche tabaq rakhna parta hai tha aur wo is halat mein he namaz ada karti thin.
Al Hasil:- Mazkura bala hadees e sahiha se darj zail 3 fawaid samne aye hain:-
1. Mard ki tarah aurat bhi masjid mein he itikaf kare.
2. Mustahaza aurat bhi masjid mein itikaf kar sakti hai.
3. Agar aurat k liye ghar mein itikaf karna afzal ya jaiz hota to Nabi Kareem S.A.W.W apni is bimar biwi ko bilkhasoos aisa karne ka hukam zaror dete.
Ye hadees Ahle Hadees k muaqaf ki aisi thos aur wazeh daleel hai k jis ki koi taveel nahi ki ja sakti baharhal Umm ul Momineen Hazrat Umm e Salma R.A ka shauq e ibadat, unka mustahza hona, is marz k bawajood unka Rasool Allah S.A.W.W k sath masjid mein itikaf karna is baat ka bayen saboot hai k aurat ka itikaf bhi ghar mein nahi balke masjid mein he hoga.
Mazkura hadees k zail mein auon ul mabood jild no. 2 safah no.311 aur neel alwatar jild no.4 safah no. 151 par marqoom hai.
Hadees ka tarjuma:- Ye hadees 4 masail ki daleel hai awwal ye k mustahza aurat masjid mein qayam kar sakti hai. Doom ye k mustahza aurat ka masjid mein itikaf sahi hai. Soom ye k mustahza ki namaz bhi sahi hai. Chaharam ye k aurat ka masjid mein be wazu hona bhi jaiz hai jabky talwees ka khadsha na ho aur daim al hadas aur jis ka khoon rista rehta hai aur wo bhi is qabeel se hain.
Hasil e Kalam:- Satoor e bala mein Quran e Majeed aur ahadees sahiha aur inki sharooh se ye amar roz e roshan ki tarah wazeh se wazeh tar ho gaya ha k muatkif k liye masjid shart hai is mein mard aur aurat dono barabar hain. Lehaza auraton ka itikaf bhi masjid he mein sahih hai ghar mein sahi nahi jesa k Umhat ul Momineen R.A ne Nabi S.A.W.W ki mubarak zindagi mein aur Aap S.A.W.W ki wafat k bad bhi masjid he mein itikaf kiya. Ulama e Ahnaf ka ye kehna k auraton ka itikaf ghar mein hoga masajid mein nahi ya aurat aurat k liye apne ghar mein aitkaf karna chahiye waghera waghera ye sirf un ka qiyaas hai jo bilkul ghalat aur Quran e Majeed aur Ahadees e Sahiha k sara sir khilaf hai.
No comments:
Post a Comment