Wednesday, June 8, 2016

Kin Logon Par Roza Farz Nahin? Pregnancy Kay Doran Aurat Roza Rakh Sakti Hai K Nahi Ya Doodh Pilane Wali Aurat Ya Haiza Orat Par Roza Farz Hai Ya Nahin?

Wo Log Jin Par Roza Farz Nahin Aisay Log Jin Ko Rozay Ki Rukhsat Di Gai Hai


Wo Log Jin Par Roza Farz Nahin

Fasting During Pregnancy In Islam In Urdu Fasting While Traveling In Ramadan Islam Q&A Fasting During Period Islam

Fasting Rules During Ramadan In Islam

1. Kafir par roza nahin agar doran e ramzan musalman ho jaye to guzishta rozon ki qaza is par nahin hai.

Roza Kab Farz Hota Hai?

Nabaligh:-


Nabaligh afrad roza farz nahin hai kyun k Nabi Kareem (S.A.W.W) farmaty hain : " 3 kisam ke logon par se qalam utha li gai hai. Soya hua insan hata ke wo jaag jaye. Chota bacha ke wo jawan ho jaye, majnoon hata ke wo sehat mand ho jaye. "
(Abu Dawood)
Yahan aik baat qabil e zikar hai ke Sahaba Karam (R.A) apne bachon ko roza rakhwate aur inhen apne saath masjid mein le jate aur inke khilone bhi sath le lete. Jab bachay bhook ki wajah se pareshan hote to wo khilone inke aagay rakh dete taa ke bache mashghool ho jaen isliye humein bhi apne bachon ko roza rakhne ki targheeb deni chahiye taa ke baligh ho jane ke baad inhen koi mushkil paish na aye.

Majnoon :-

Majnoon par roza farz nahin jis tarah pehle hadees mein guzar chuka hai kunki majnoon aadmi ko apne dimagh par control nahin wo to kisi bhi ibadat ki niyat tak nahin kar sakta.

Roza Rakhne Se Ajiz :-
Wo borha admi jo bilkul laaghir ho chuka hai aur iss mein roza rakhne ki sakt nahin hai. Isi tarah mareez par bhi roza nahin hai jo intehai laaghir aur kamzor ho chuka hai.
Farman e Elahi hai:
" Allah Taala kisi par iski taqat se zyada boojh nahin dalte ".
Magar wo har roz ke badla mein aik miskeen ko khana khilayen ge haan agar mareez ke sehat mand hone ki umeed ho to wo roza ki qaza ada kare ga.

Musafir :-

Musafir par bhi roza nahin hai safr khatam hone k baad iss ke zima qaza hai jesa ke Allah Ta'ala farmate hain : " Jo koi tum mein say mareez ya musafir ho to wo dusray ayaam mein ginti ko pora kare " (Surah Al Baqarah)
Safar mein roza rakhna bhi sabit hai. Hazrat Abu Saeed Khudri (R.A) farmate hain ke hum Nabi Kareem (S.A.W.W.) ke sath safar kiya karte thy, naa to  roza daar roza chodne walon ko aeb daar gardante thy aur naa he roza chodne walay roza daron par aib lagate thy.

Haiza Aurat :-

Haiza orat par bhi roza rakhna farz nahin hai. Hadees e Mubarka mein hai ke " Kya aisa nahi hai ke aurat ayaam mahwari mein ho to wo naa he namaz padhe gi aur na he roza rakhe gi, ye iske deen ka nuksan hai. " (Bukhari)

Hamla Aurat Ka Roza Rakhna Hamila Ya Doodh Pilane Wali Aurat :-

Wo orat jo hamil ho ya bachay ko doodh pilati ho aur roza rakhne ki sorat mein issay apni ya bache ki jan zaya hone ka khatra ho to iss par bhi roza farz nahi hai kyunki ye majboori ki halat hai aur Allah Ta'ala farmate hain :
" Allah Taala kisi jan par iski taqat sey zyada bojh nahi dalte. " Aur Nabi Akram (S.A.W.W.) ne mazkora dono aurton ko roza chodne ki rukhsat di hai. (Tirmizi)

No comments:

Post a Comment