Ramadan Rules For Fasting Rozay Ke Adab Ramzan Ke Mahine Ke Adab
Ramadan Fasting Rules In Islam Roze Ke Adaab |
Roza Ki Niyat :-
Roza dar ko chahiye ke wo roza ki niyat kare Jese ke Rasool (S.A.W.W.) ne hukam diya hai. (Tirimizi)Niyat ke liye koi alfaz ya dua sabit nahin, niyat dil ke iraday ka naam hai.
Sehri Khana :-
Sunat e Nabvi (S.A.W.W) ki roo say sehri takheer se khani chahiye. (Bukhari)Waijbat Ki Adayegi :-
Roza ka chutha adab ye hai ke insan Allah Taala ki taraf se nazil kardah wajibat ki pabandi kare.Jin mein sab se pehla farz namaz hai. Roza dar ko chahiye ke namaz ki shart, arkaan, wajibat ka mukamal khyal rakhte hue namaz ada kare.
Iftar Mein Jaldi :-
Rozadar ko iftar mein jaldi karni chahiye. Rasool Allah (S.A.W.W) farmate hain ke Allah Taala ne farmaya: " Mujhe wo banday bohat mehboob hain jo iftar mein jaldi karte hain. "(Musand Ahmad)
Mehrmat Se Ijtnab :-
Rozadar ko chahiye ke iss kam say bach jaye jin se Allah Taala ne mana farmaya hai.Iftari Ke Waqat Ki Dua :-
Nabi (S.A.W.W.) farmate hain : " Iftari ke waqt ki gai dua zaror qabool hoti hai. "(Ibn-e-Maja)
No comments:
Post a Comment