Monday, April 29, 2019

Chand Dekhte Waqt Ki Dua Ramzan Ka Chand Nazar Aane Ki Dua Eid Ka Chand Dekhne Ki Dua Muharram Ka Chand Dekhne Ki Dua

Chand Dekhne Ki Dua In Roman English رمضان کا چاند دیکھنے کی دعا


chand dekh kar kya padhna chahiye ramzan ka chand dekh kar konsi dua padhe
Naya Chand Dekhne Ki Dua In Arabic

رمضان کے احکام و مسائل Ramzan Ke Ahkam O Masail In Urdu


Arabic Dua:-

" اَللّٰھُمَّ اَھِلَّہٗ عَلَیْنَا بِالْاِمْنِِ وَ الْاِیْمَانِ وَ السَّلَامَۃِ وَ الْاِسْلَامِ وَ التَّوْفِیْقِ لِمَا تُحِبُّ وَ تَرْضیٰ۔ رَبُّنَا وَ رَبُّکَ اللّٰہَُ "

Urdu Translation:-

" اللہ سب سے بڑا ہے، اے اللہ! تو اسے ہم پر طلوع کر امن، ایمان، سلامتی اور اسلام کے ساتھ اور اس چیز کی توفیق کے ساتھ جس سے تو محبت کرتا ہے، اے ہمارے رب! اور جسے تو پسند ہے۔ (اے چاند!) ہمارا اور تیرا رب اللہ ہے۔ "


Roman Urdu/Hindi Translation


Naya Chand Dekhne Ki Dua

Urdu Tarjuma:- "Allah sab say bara hai, Aye Allah! Tu isay hum par talu kar aman, imaan, salamati aur islam kay sath aur is cheez ki taufeeq ke sath jis say tu mohabbat karta hai. Aye Hamare Rabb! Aur jise tu pasand hai. (Aye Chand!) Hamara aur tera rabb Allah hai."

Sunday, April 28, 2019

Rozay Mein Biwi Ko Kiss Karna Roze Ki Halat Mein Biwi Se Humbistari Kya Mani Nikalne Se Roza Toot Jata Hai Roze Ki Halat Mein Mubashrat

Roza Torne Wale Ammor Does My Fast Break if i Ejaculate?


rozay ki halat mein menses in urdu roze ki halat mein mani nikalna
Roze Ki Halat Mein Ehtelam Ho Jana Roze Ki Halat Mein Haiz Ka Aana


Roze Ki Halat Mein Biwi Se Milna Roze Me Biwi Ka Bosa Lena Roze Ki Halat Mein Biwi Se Pyaar


Humbistari: Biwi se humbistari se na sirf roza toot jayega balke is ki qaza ke sath sath kaffarah bhi ada karna paray ga. Aur wo kaffarah aik din garden azad karna ya matwatar do mah ke roze rakhna ya sath masakeen ko khana khilana hai. [Sahih Bukhari]


Akhraje Mani: Agar roza dar ikhtiyari toor per mani kharj kar de tu us ka roza toot jata hai. Chahe mani ka ikhraj mubashrat, boos o kinar, lams ya degar kisi tariqy se ho.
        Albata agar sote huye mehez tafaqar ya be ikhtiyaar mein mani kharij ho jay to roza nahi tootta kyun ke Nabi (PBUH) ne farmaya: faqat khayalat aur tafakar par mokhaza nahi hota yaha tak ke wo is par amal kare. [Mutafiq Aleh]

Roza Kin Cheezon Se Toot Jata Hai? Rozay Ki Halat Main Shariah Masley In Urdu

Umdah Khana Peena: Jan bojh kar koi cheez khana ya peene se roza toot jata hai . Yani wo khorak jo pait mein pohanch jay, chahe muh ke raste se naak ke raste pohanchy. Kyn ke Allah Tala ka farman hai: Aur fajar ke waqt jab tak safeed dhari syiah dhari se wazeya na ho jay , khao piyo phir raat tak roza ko mukamal karo. [Al Baqarah]


Albata bhool kar khane peene se roza nahi toot ta, kyun ke Nabi Kareem (PBUH) ne farmaya ke jis ne roza ki halat mein bhool kar kha pi liya usay chahiye ke apna roza pora kary usy Allah Tallah ne khilaya pilaya hai. [Sahih Bukhari] Albata taqat ka teeka lagwane se roza toot jayega. [Fatwa Ibn Asimeen]


roze ki halat mein biwi se pyar karna roza aur haiz ke masail in urdu
Roze Ki Halat Mein Mubashrat In Urdu

Haiz Aur Nafs ke khoon ka akhraj: Haiz aur nafs ke khoon ke akhraj se bhi roza toot jata hai jis tarah pehle hadees guzar chuki hai.


Roza Dar Ke Liye Jaiz Amor

1. Aankhon Mein Dawa Dalna Ya Surma Lagana: Abu Dawood mein majood rawayat jis se ye matlab akhaz kiya jata hai ke roza dar ko surma lagana mana hai, zaeef hai. Is ke mutaliq Yahya Bin Maeen farmate hai: Ye munkar hadith hai.

2. Miswak Karna: Hazrat Amir Bin Rabi'a farmaty hain ke kai bar Nabi Kareem (PBUH) ko dekha ke wo roza ki halat mein miswak karty thy. [Bukhari Ma Ul Fatiha]

3. Halat E Janabat Mein Sehri: Halat e janabat mein insan sehri kha sakta hai, is ke bad wo ghusal kare. [Tirmizi Sharif]

4. Boos O Kinar (Kissing) : Jis admi ko apny nafs par mukamal control ho aur is ko had se guzarne ka khatra na ho tuo wo apni biwi se boos o kinar kar sakta hai. [Sahih Bukhari]

5. Nahana ya Sar Par Pani Dalna: Roza dar ke liye ghusl karna jaiz hai. [Sahih Bukhari]

6. Ramzan ke istaqbal ke liye aik ya do din pehle roza nahi rakhna chahiye. [Tirmizi]