Sunday, June 5, 2016

Ramzan-Ul-Mubarak Ramzan Ki Fazilat Hadees Masail Wa Ahkam Roza Aur Us Ke Masail In Urdu

Ramzan-Ul- Mubarak Ke Fazail Ahadees aur Ahkamat 


Ramadan Emaan Ramzan Ke Masail aur Ahkaam


Mein neki ka ajar kai gunah zyada ho jata hai. Raghbat rakhny waly har insan ke liye bhalai ke tamam darwazy khuly howy milty hain. Isi babarkat mahiny mein Quran Majeed nazil howa. Is ka pehla hisa Rehmat,dosra maghfirat aur tisra jahannam se azadi ka hai. Abu Hurairah (R.A) farmaty hain ke Nabi (PBUH) ne farmaya:

Jab Ramzan ka mahina ata hai tuo jannat ke darwaze khol diye jaty hain,jaanam ke darwaze band kar diye jaty hain jab ke sheyateen ko zanjiro mein jakhar diya jata hai. (Muslim)

Ramzan-Ul-Mubarak Aur Panch Khasosiyat

Hazrat Abu Hurairah (R.A) farmaty hain ke Nabi Kareem (PBUH) ne in panch Khasosiyat ka zikar karty huway farmaya:
Meri umat ko Ramzan-Ul-Mubarak mein panch esi khasosiyat di gai hain jo pehly kisi bhi umat ke hisy mein nahi ayi.


Rozy ke munh ki boh Allah Tala ke ha mushq ki khushboo se zyada mayob hai.
Rozy daro ke liye farishty astaghfar karty hain hata ke wo roza iftar kar le.
Allah Talah rozana janat ko muzaiyan karty hai aur farmaty hain Mery nekh bando se anqareeb azmayesh khatam ho gi aur wo tery andar dakhil ho gai.
Sheyateen ko band kar diya jata hai, wo aam dino ki tarah logo ko gumrah nahi kar sakty.
Raat ke aakhri pehar logon ki bakhshish jati hai. (Musnad Imam Ahmed)
Rasool Kareem (PBUH) ne farmaya : jis ne iman aur ehtesab ke sath Ramzan-Ul-Mubarak ka qeyam kya us ke sabikha gunah muaf kar diya jaty hain. (Bukhari) Jab ke aik hadees mein qeyam ki jagha seyam (rozy rakhny ka zikar hai).

Roza Ki Fazilat


Roza gunahon ki bakhshish ka zariya hai. Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Nabi Kareem (PBUH) ne farmaya:

Jis ne iman aur ehtesab ke sath ramzan ke rozy rakhy tou us ke pichly gunah muaf kar diye jaty hain.
(Bukhari)

Hazrat Abu Hurairah se riwayat hai ke nabi Kareem (PBUH) ne farmaya:

Panchgani namaz aik se dosri tak, Jumah dosry jumah tak aur ramzan dosry ramzan tak gunah muaf karne ka sabab hai basharte ke kabirah gunah se bacha jaye. (Muslim)

Roza ki fazilat ye bhi hai ke is ka ajar o sawab la mehdood hai balky roza dar ko bagher hisaab ke ajar ata farmaya jaye gha. Hadees qudsi hai ke roza mere liye hai aur mein hi is ka badla doh ga. Roza dhal hai pas jo koi roza rakhy tuo wo fahash kamoh se baz rahy aur agar koi usy tang kary ya larhai kary tuo wo keh de ke mein rozay se hon. Is zaat ki qasam jis ke qabzy mein Muhammad(PBUH) ki jaan hai, Rozadar ke munh ki boh Allah Talah ko mushk ki khushboo se zyada pasandida hai aur roza dar ke liye do khushiya hain: Aik roza iftar karty howy aur dosri (rozy qayamat) Allah Rab-Ul-Alamin se milty howy. (Muslim)
Aur dosri hadees mein hai ke
Bani Aadam ke har nek aamal ko das gunah se le kar sath gunah tak barahya jata hai magar roza(ke sath ye mamla nahi) mere liye hai aur mein hi is ki jaza dohn ga kyun ke is (roza dar) ne meri wajha se khana peena chor rakha tha. (Muslim)

No comments:

Post a Comment