Tuesday, June 21, 2016

High Alert! Ramzan Ke Hawale Se Propaganda Man Gharat SMS Ko Forward Mat Karen Jhoot Phelana Gunah Hoga SMS Forward Karne Ke Liye Tehqeeq Zarori Hai

Ramzan Propaganda Forward Messages No Authentication


Man Gharat Fake Messages Never Share


High Alert! Man Gharat SMS Mat Forward Karen Tehqeeq Ke Baghair Koi Bhi SMS Forward Na Karen


Jaisa ki aap jante hain ke iss waqt puri dunya mein islam dushman anasir musalmano ko gumrah karne ki bharpoor koshish kar rahe hain. Nai nai ijadat ke zariye musalmano ko lahu laab mein phansaya ja raha hai. Zyada tar ijadat ke fawaid kam aur nuqsanat zyada hain kyunki log Allah ke deen ko samjhna chor kar aish o ishrat ko pasand karne lage hain. Yehi wajah hai ke humain koi Allah ka dushman aur shayateen ka dost aisa SMS karta hai jis mein Islam aur musalmano ki khuli tauheen hoti hai aur hum apni kam ilmi ki wajah se usay deen samajh kar foran forward kar dete hain aur Allah Taala se sawab ki umeed rakhte hain. Apni kam ilmi ki wajah se aisay log deen e islam ki bajaye kufr o shirk ko phelane ke murtakab hote hain aur unhen iss baat ka andaza he nahi hota ke unhon ne kya kar diya hai. Aisa he aik SMS aksar aata hai ke
Hadees mein hai Ramzan Mubarak jis ne ramzan ki khabar sab se pehle di us per jahanum ki aag haraam kar di jaye gi Nauzubillah. dosto aisi koi bhi Hadees Aap S.A.W.W se sabit nahi agar aisi he bat hoti to aik insan jo sari zindagi gunaah karta raha hai aur apne Allah Taala ko naraz karta raha aur usnay koi naik kaam b nahi kiya to kya sirf wo ye man gharat jhoota SMS logon ko forward karne se jahanum se bach jaye ga?? yaqeenan nahin aur mujhe umeed hai aap ka jawab bhi nahi he hoga isliye aise SMS tehqeeq ke baad he share kiya karen aur agar aap ko nahi pata ke ye Islamic msg Quran ki ayat ya Hadees e Rasool (S.A.W.W) hai bhi ya nahin to phir jisne aap ko SMS bheja hai us say pochen agar usay bhi nahin pata to phir aap ko koi bhi Islamic SMS tehqeeq ke baghair forward nahi karna chahiye. Allah Taala sab ko amal ki taufeeq ata farmaye Aameen.

No comments:

Post a Comment