Roza Rakhne Ke Fawaid aur Iske Asraat
Roza Rakhne Se Kya Fayda Hota Hai Roza Kyon Rakhte Hain?
|
Roza Rakhne Ke Fayde in Urdu Ramadan Fasting Benefits In Hindi
Allah k naamon mein se aik naam hakeem hai aur hakeem wo zaat hoti hai jo hikmat se mutsif ho, aur hikmat kehte hain kisi kaam mein maharat hasil karne ko, aur kaam ko iske moka o mehal k mutabiq karne ko, Allah Taala k is naam ka taqaza hai k har cheez ko Allah Taala ne apni hikmat balgha k teht peda aur mashru kiya jis ne iski hikmat ko jaan liya so jaan liya, aur jo is ki hikmat ko nahi samjh paya to ye iski apni kam ilmi hai, aur wo roza jis ko Allah Taala ne apne bandon par farz qarar diya hai is mein azeem hikmatein aur beshumar fayde hain jin mein se chand aik ka tazkirah kiya jata hai.
Roza Rakhne Kay 10 Zabardast Faiday
1. Roza aik aisi ibadat hai jis k zariye banda apni mehboob tareen cheezon ko jesy khana peena aur jamaa ko iski fitri mohabbat k bawajood chor kar rab ka qurb hasil karta hai takay apne rab ki raza, uski khushnudi aur jannat hasil kar sake, istarah rozadar ka apni mehboob tareen cheezon par rab ki raza o pasandeedgi ka aur akhirat ko duniya par tarjeeh dena wazeh hota hai.
2. Roza taqwa ka zariya hai basharatyky rozadar apne roze ko wajbaat k sath ada kare,
farman e bari taala hai:
Tarjuma:- Aye imaan walo! Tum par roze rakhna farz kiya gaya jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye thy takay tum taqwa ikhtiyar karo." (Surah Al Baqarah Ayat No.183)
Rozadar ko taqwa ikhtiar karne ka hukm hai aur taqwa Allah Taala k ahkamat manne aur uski mana karda cheezon se bachne ka naam hai, aur roza rakhne ka sab se bara maqsad yehi hai, roza rakhne ka maqsad hargiz ye nahi hai khana peena aur sohbat tark karwa kar rozadar ko aziyat aur takleef pohnchai jaye.
Farman e Nabvi S.A.W.W hai " Jo shakhs roza rakh rakh kar jhoot bolna, us par amal karna aur jahalat tark na kare to Allah ko iske bhooke pyase rehne ki koi zaroorat nahin"
3. Roza nafs ki tarbiyat, ikhlaq ko tehzeeb aur rozadar k andar isteqamat ki sift paida karta hai, roza ka aik tehzeebi paigham hai jis k gehre asrat musalmano k ikhlaq par parte hain, isitarah ye roza dar k andar khauf e ilahi ki sift bhi peda kar deta hai, ye khauf iske nafs ki nigrani karta rehta hai aur andar se zabt nafs peda karta hai, phir aik roza dar musalman se jo amaal saadar hote hain wo iske khof k tabay hote hain.
Kya aap ne kabhi aisa rozadar dekha hai jo apne rab k sath sach to bole aur logon k sath jhoot bole? Jo apne roza mein mukhlis ho aur muashra mein munafiqat peda kare? Ikhlas aisi akai hai jis ko taqseem nahi kiya ja sakta aur bilashuba roza ki kohan ki choti aur mamla ki jar Allah k sath ikhlas hai? to lehaza jo shakhs apne rab k sath mukhlis hoga mahal hai k wo dusro ko fareb, khayanat aur dhoka de aur mahal k wo chori kare aur takleef de agar is se koi ghalt kaam saadar ho he jaye to foran palatta hai raju karta hai mazrat karta hai aur had darja sharminda hota hai.
Roza ikhlaq ko jorne aur andar se mazboot buniyadon par khara karne k asbab mein se aik bunyadi sabab hai isliye k zahri khubsurti koi faida nahi de sakti jab tak andar se bunyad mazboot aur pukhta na ho isliye k rozadaron k ikhlaq, sabit qadmi, istamra aur duwam aur taraqi jesy siffat liye hue hote hain isliye k andar or bahir se iski mukamal hifazat ho rahi hoti hai.
4. Roza insan ko ghalat adaat ki hukmarani se chutkara dilata hai jo shakhs kisi buri adat ka qaidi ho jaye wo ye samajhta ho k is galat aadat se chutkara hasil nahi kar sakta aur na he wo is se azad hone ki taqat rakhta hai to isay chahiye k wo roza rakhe, isliye hum dekhte hain k aadmi roza rakh kar apni aadat qulli aur qatai taur par badal sakta hai, iske bad wo ye samajh jata hai k iske liye apne nafs ko in aadat ki bandish se azad karna sehal aur asan hai jo adaat hamesha se iske liye qalaq aur pareshani ka sabab bani rahin.
5. Roza mein Allah Azzawajal ki ibadat aur tabyadari ka saboot hai isliye roza musalmano ko sachi ibadat o bandgi ki tarbiyat karta hai chanacha jab raat aati hai to rozadar apne rab k is farman ki tameel mein
Tarjuma:- Tum khate peete raho yahan tak kay subah ka safed dhaga siyah dhagay se zahir ho jaye." Khata aur peeta hai isliye roza dar k liye sehri aur iftari kay waqt khana mustahab qarar diya gaya hai aur saum o saal ko makroh jana gaya isliye in aukat mein khana peena ibadat e ilahi qrar paya aur jab subah sadiq talu hoti hai to Allah Taala k is hukam Tarjuma: Phir raat tak rozy ko pura karo" ki tameel mein khane peene aur roza ko tor dene wali dusri cheezon se ruk jata hai is tarah aik musalman Allah Taala k liye mukamal abudiyat o bandgi par tarbiyat pata hai.
6. "Roza" gunahon ka kaffara hai isliye k nekiyan gunahon ko mita deti hain aur roza apne andar bohat si nekiyan samoye hua hai jesa k Allah ka farman hai
Tarjuma: Nekiyan gunahon ko mita deti hain (Surah Hood Ayat No.114)
Aur Aap S.A.W.W ka farman hai " Aadmi apne ehl o ayal maal o minal aur parosi ki wajah se jin gunahon ka shikar hota hai Namaz, Roza aur Sadqa inke liye Kaffarah ban jate hain.
Yani bande se jo ghaltiyan apne ahl o eyal k haq mein ho jati hain jesy sakht baatein, aziyat dena ya kisi kisam ki kotahi, ya parosiyon k haq mein jo ghaltiyan ho jati hain jesy qauli faili ziyadtiyan ya maali ghaltiyan ye sab ki sab aur iske mushaba tamam chote gunah Namaz, Roza aur Sadqa ki barkat se khatam ho jate hain.
7. Roza musalmano ko sabr o tahammul aur mushaqat bardasht karne ka aadi banata hai isliye k roza, rozadar ko pasandeeda aur marghoob cheezon aur khuwahishat ko tark karne par amadah karta hai aur khwahish nafs par qaabu pana intehai mushkil kaam hai isliye k roza mein sabar ki teeno qismen payi jati hain. Allah ki ata'at par sabar karna, Allah ki taraf se haram ki gayi cheezon par sabar karna, Allah k iqdar yani qaza o qadar par sabar karna, jab ye teeno kismen banda e momin k andar jama ho jayen to ye Allah k hukam se isko Jannat mein dakhila k bais banegi. Irshad e Rabbani hai:- Tarjuma:- Sabar karne walon he ko inka pura pura beshumar ajar diya jata hai" (Surah Al Zumar Ayat No.10)
8. Roza duniya aur akhirat mein saadat wa naik bakhti ka sabab hai farman e Nabvi S.A.W.W hai
" Rozadar k liye 2 khushiyan hai aik khushi to iftar k waqt aur aik khushi apne rab se mulaqat k waqt"
Momin ko iftar k waqt jo khushi hasil hoti hai ye iski saadat o lazzat ki aik jhalak hai jo duniya mein momin insan Allah Azzawajal k taqwa aur uski ataat k sabab mehsoos karta hai aur yehi haqeeqi saadat hai aur ye khushi momin ko 2 tarikon se hasil hoti hai.
Pehla Tarika:- Ye hai k Allah Taala ne rozadar k liye us waqt khana peena mubah aur jaiz qarar diya hai is mein koi shak nahi k nafs ko khane peene ki chahat hoti hai tabhi to rozadar aadmi in dono cheezon se ruk kar Allah ki ibadat bajalata hai.
Dusra Tarika:- Allah Taala ne usko us din ka roza rakhne aur is ibadat ko mukamal karne ki taufeeq di hai.
Sab se bari khushi rozadar ko us waqt hasil hogi jab wo akhirat k din Allah Taal se mulaqat karega. Allah Tabarak wa Ta'ala iske roze ka sab se bara badla is shakal mein dega k iska roza iske haq mein Shafaat karega aur wo Baab Ur Rayyan k rastay Jannat mein pohanch jaye ga.
9. Roza se Imaan barhta hai aur bohat sari ibadat ki baja awari mein jesy Namaz, Tilawat e Quran, Zikr e ilahi, Sadqa o Khairat, Dua o Istighfar aur Tauba karne mein bande ki madad karta hai, aur nafs ko haraam kaamon mein parne se rokta hai to Roza in azeem nekiyon mein se hai jo buraiyon ko khatam kar deta hai.
10. Roza ka aik muashrti faida ye hai k is mein daulatmand aur faqeeron aur khas o aam k darmiyan maswat hai aur ye logon mein aik Ummat k afrad hone ka ehsaas bedaar karta hai chanacha sab k sab aik he waqt mein khate hain aur aik he waqt mein roza rakhte hain. Neez maaldaar shakhs ko Allah ki naimaton ka ehsaas dilata hai chanacha wo faqeer aur zaroratmand afrad se hamdardi karta hai neez roza rakhne ki barkat se shaitan k behlawe kam ho jate hain roza society mein taqwa peda karne ka bais hai aur is se logon k bahmi taluqat mazboot ho jate hain.
No comments:
Post a Comment