Roza Ki Niyat Kaise Bante Hain Roza Rakhne Ke Liye Kya Karna Chahiye
Roza Rakhne Ke Ahkam Roza Rakhne Ki Niyat Roza Kaise Rakhe |
Roza Rakhne Ka Sahi Tarika Roza Rakhne Se Pehle Ki Dua
Assalam o Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh,
Aaj hum ramzan mein rozon ki niyat k baray mein baat karenge islam mein niyat ki bohat ahmiyat hai insan jaisi niyat karta hai usko ajar o sawab bhi usi k mutabiq he diya jata hai Imam Bukhari Rahimahullah ne Sahih Bukhari mein jo pehli Hadees naqal ki hai wo niyat he k baare mein hai.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne farmaya:
إنَّما الأعمالُ بالنيَّات، وإنّما لِكُلِّ امرِئٍ ما نَوى
Urdu Tarjuma:- Tamaam amaal ka daromadar niyat par hai aur har amal ka natija har insan ko us ki niyat k mutabiq he milega.
Jesa k aap sab jante hain k Ramzan 2020 taqreeban shuru hone wala hai aur aur Pakistan mein pehla roza kis din hai ye janne ke liye aap meri post Ramadan 2020 First Ramzan Date in Pakistan mein lazmi parhen. Ramzan k rozon k liye niyat karna lazmi hai kyon ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne farmaya: " Jisne roze ki niyat Fajar se pehle nahin ki uska roza nahin "
lekin kya niyat zuban se ki jati hai? hargiz nahi, niyat ka taluq dil se hai niyat dil k iraday ka naam hai. Arabic language ki maroof lughat ki kitab "Lisanul Arab" mein Allama Ibn e Manzoor Noon, Wao, Yaa k maday k tehat niyat k baray mein likhte hain:
" Amlul Qalab " yani ye dil ka amal hai.
Niyat Kise Kahte Hai Niyat Ka Matlab Kya Hota Hai Roze Ki Niyat Kya Hoti Hai
Kisi kaam karne ka dil se pukhta irada karna isko niyat kehte hain jab aap ne raat ko ye irada kar liya k main agle din roza rakhunga to ye niyat ho gayi jab aap ne roze k irade se sehri kar li to yehi niyyat hai. Goya k niyat dil ka amal hai na k zuban ka balke niyat k alfaz ka ada karna Bidat hai hum aksar dekhte hain ramzan k calendars par aur social media par ye dua likhi hoti hai
"Wabi saumi ghadin nawaitu min shahri ramadan" yani main ne ramzan k kal k roze ki niyat ki.
na to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam se is qisam ki koi dua parhna sabit hai na he aisi dua Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne hamen sikhayi yaad rakhen k tamam ibadaat tokhifi hain in mein hum apni marzi se koi cheez dakhil nahin kar sakte.
Ab baat karte hain niyat k waqt k taluq se ramzan k rozon ki niyat raat k kisi bhi hissay mein ki ja sakti hai Sharai lehaz se raat maghrib k waqt shuru hoti hai aur Fajar k waqt khatam ho jati hai. Fajar se pehle pehle niyat ka kar lena kafi hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne farmaya: Jis ne roze ki niyat raat he mein na ki to uska roza nahin"
Aap har roze k liye alag se raat he mein niyat kar lain ya phir iski dusri surat ye hai aap mahine k shuru mein pure ramzan k liye niyat kar lain aur agar ramzan mein rozon ka tasalsul munqata ho jaye bimari ki wajah se ya kisi Sharai uzar ki wajah se to uzar pura hote he phir se niyat kar lain. Albata agar nafli rakhne hoon ramzan k baad to iske liye niyat din mein bhi ki ja sakti hai.
Umm ul Momineen Ayesha R.A farmati hain k aik din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam mere paas aye aur farmaya kya tumhare pass kuch khane k liye hai main ne kaha kuch nahi hai, Aap Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne farmaya to phir main roze se hun.
Agar koi insan so k uthe aur usne kuch khaya piya na ho to nafli roze k liye wo din mein bhi niyat kar sakta hai ye thi kuch aham baatein roze ki niyat k taluq se Allah Ta'ala se dua hai k wo humein is ramzan se bharpur fayda uthane ki aur apne gunahon ki maafi mangne ki taufeeq de aameen.
No comments:
Post a Comment