Sunday, April 26, 2020

Roze Ki Halat Mein Ulti Hona Roze Ki Halat Mein Ehtelam Ho Jana Roze Ki Halat Mein Mani Ka Nikalna Roze Ki Halat Mein Khoon Nikalna

Roze Ki Halat Mein Ulti Aana Agar Roze Ki Halat Mein Ehtelam Ho Jaye To Kya Karen?


روزے کی حالت میں خون دینا روزے کی حالت میں احتلام
روزے کی حالت میں مختلف امور کے بارے میں کیا حکم ہے؟

Kya ehtelam, jism se khoon niklne aur olti yani qay se roza fasad ho jata hai?

روزے کی حالت میں احتلام Roze Ki Halat Me Mani Ka Nikalna


Sawal: Main ne roza rakha tha aur masjid mein so gaya. Jab bedar hua to mujhe maloom hua k mujhe ehtalam hua hai kay ehtelam roza par asar andaz hota hai? Ye khayal rahe main ne ghusl nahi kiya aur nahane k baghair he namaz ada kar li.

Fatwa: Ehtelam se roza fasad nahi hota kyon ki ye bande k bas ki bat nahi lekin jab mani nikle to is par ghusl e janabat lazim hai. Kyon ki Nabi S.A.W.W se is baray mein pucha gaya to Aap S.A.W.W ne farmaya k jab ehtelam wala pani yani mani dekhe to us par ghusl wajib hai.

حوالہ: ابو داؤد- کتاب الطھارۃ- باب فی الرجل یجد البلتہ فی منامتہ (234) ترمذی کتاب الطھارۃ باب ما جاء فیمن یستیقط فیری بلا (113) ابن ماجہ کتاب الطھارۃ باب من احتلم ولم یربللا (412)

Ye jo aap ne bila ghusl namaz ada ki ye aap se ghalti hui hai aur bohat buri baat hai ab aap par lazim hai k is namaz ko dohrayen aur Allah Subhana Wa Taala se tauba bhi karen.

Sawal: Aik dafa yun hua k mujhe sir mein pathar laga jis se mere sir se khoon beh nikla kya khoon behne ki wajah se mera roza toot gaya?

Roze Ki Halat Mein Khoon Dena روزے کی حالت میں خون نکلوانا


Fatwa: Jo pathar aap k sir par laga jis se khoon beh nikla to is say aap ka roza batil nahi hoga.

Sawal: Kya olti yani qay aane se roza fasad ho jata hai ya nahi?

روزے کی حالت میں قے Roze Ki Halat Mein Ulti Hona


Fatwa: Jo qay aap k andar se nikli yani ulti aap k jism se bahir nikli is mein bhi aap ka kuch ikhtiyar na tha lehaza aap ka roza batil nahi hua kyon ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya hai:
Jise be ikhtiyar qay aai us par roza ki qaza nahi aur jis ne amdan qay ki yani jaan bojh kar ulti ki us par qaza hai.

حوالہ: ابو داؤد-کتاب الصیام- باب الصائم یستقی عامدا (2380) ترمذی- کتاب الصوم- باب ما جاء فیمن استقاء عمداً (820) ابن ماجہ- کتاب الصیام باب ما جاء من الصائم یقئی (1276)

Is hadees ko Ahmad aur Ahl e Sunan ne asnaad e sahih k sath riwayat kiya hai.

No comments:

Post a Comment