Sunday, April 26, 2020

Roze Ki Halat Mein Biwi Se Humbistari Ka Kaffara Roze Ka Kaffara Kaise Ada Kare Roze Ki Halat Mein Biwi Se Milna In Urdu

Roza Ka Kaffara In Hindi Rozay Ka Kaffara In Urdu Roze Ki Halat Mein Jama Karna


روزہ کی حالت میں مباشرت
Roze Ki Halat Mein Humbistari Kar Sakte Hai Ya Nahi


Roze Mein Biwi K Sath Jamaa Karne Ka Kaffara Roze Ki Halat Mein Biwi Se Humbistari Karna


Syedna Abu Huraira R.A bayan karte hain k hum Nabi S.A.W.W ki khidmat mein thy k aik shakhs aya or kaha: Aye Allah k Rasool S.A.W.W main to tabah ho gaya. Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam ne pucha: kya baat hui hai? Usne kaha: Main ne roza ki halat mein apni biwi se jamaa kar liya hai. Is par Rasool Allah S.A.W.W ne pucha: Kya pay dar pay 2 mahine k roze rakh sakte ho? Usne kaha nahi. Phir Nabi S.A.W.W ne pucha: Kya tum 60 miskeeno ko khana khilane ki taqat rakhte ho?

Usne kaha: Nahi phir Nabi S.A.W.W thori dair k liye thehar gaye' hum bhi apni ussi halat mein bethe hue thy k Aap S.A.W.W ne pucha: Sayel kahan hai? usne kaha: hazir hoon. Aap S.A.W.W ne farmaya: Isay lo aur sadqa kar do. Usne kaha: Ay Allah k Rasool S.A.W.W main apne se zyada mohtaj par bharosa kar dun is par Nabi S.A.W.W is qadar hansy k Aap S.A.W.W k agay k daant mubarak dekhe ja sakte thy phir Aap S.A.W.W ne farmaya: Acha jao, isay apne sath le jao aur apne ghar walon ko bhi khilao.

حدیث کا حوالہ: بخاری- کتاب الصوم باب اذا جامع فی رمضان (7935) مسلم- کتاب الصیام- باب تغلیظ تحریم الجماع فی نھار رمضان (1112)

Roze Ki Halat Mein Biwi Se Milap Karna Roze Ka Kaffara Kitna Hai Qaza Roze Ka Kaffara Roze Ka Fidya Kitna Hai


"Syeda Ayesha R.A bayan karti hain k aik shakhs Aap S.A.W.W ki khidmat mein hazir hua aur arz ki k main dozakh mein jal gaya. Aap S.A.W.W ne pucha: Kya bat hai? usne kaha: Ramzan mein main ne roze ki halat mein apni biwi se humbistari kar li thori der bad mein Aap S.A.W.W mein aik khajoor ka thela jis ka naam arq tha aya to Aap S.A.W.W ne farmaya: dozakh mein jalne wala kahan hai? usne kaha: Hazir hoon! to Aap S.A.W.W ne farmaya: Isko lo aur sadqa kar do."
حدیث کا حوالہ: بخاری- کتاب الصوم باب اذا جامع فی رمضان ولم لہ شئ (1934) مسلم- کتاب الصیام- باب تغلیظ تحریم الجماع فی نھار رمضان (1111)

No comments:

Post a Comment