Monday, June 27, 2016

Ramzan Ke 3rd Ashray Ki Dua Ramzan Ke Teesray Ashray Ki Dua Dua For Third Ashra Of Ramadan In Arabic With Urdu Translation

Ramadan Ke Akhri Ashray Ki Dua Ramzan Ki Teesri Ashray Ki Dua With Urdu Translation


Dua To Say In The Last 10 Days Of Ramadan What Do You Read In The Last 10 Days Of Ramadan




Ramadan Last 10 Days Dua In Arabic With Urdu Translation

Ramzan Kay 2nd Ashray Ki Dua Ramzan Kay Dosray Ashray Ki Dua

Share it as Sadqa e Jariya

Tuesday, June 21, 2016

High Alert! Ramzan Ke Hawale Se Propaganda Man Gharat SMS Ko Forward Mat Karen Jhoot Phelana Gunah Hoga SMS Forward Karne Ke Liye Tehqeeq Zarori Hai

Ramzan Propaganda Forward Messages No Authentication


Man Gharat Fake Messages Never Share


High Alert! Man Gharat SMS Mat Forward Karen Tehqeeq Ke Baghair Koi Bhi SMS Forward Na Karen


Jaisa ki aap jante hain ke iss waqt puri dunya mein islam dushman anasir musalmano ko gumrah karne ki bharpoor koshish kar rahe hain. Nai nai ijadat ke zariye musalmano ko lahu laab mein phansaya ja raha hai. Zyada tar ijadat ke fawaid kam aur nuqsanat zyada hain kyunki log Allah ke deen ko samjhna chor kar aish o ishrat ko pasand karne lage hain. Yehi wajah hai ke humain koi Allah ka dushman aur shayateen ka dost aisa SMS karta hai jis mein Islam aur musalmano ki khuli tauheen hoti hai aur hum apni kam ilmi ki wajah se usay deen samajh kar foran forward kar dete hain aur Allah Taala se sawab ki umeed rakhte hain. Apni kam ilmi ki wajah se aisay log deen e islam ki bajaye kufr o shirk ko phelane ke murtakab hote hain aur unhen iss baat ka andaza he nahi hota ke unhon ne kya kar diya hai. Aisa he aik SMS aksar aata hai ke
Hadees mein hai Ramzan Mubarak jis ne ramzan ki khabar sab se pehle di us per jahanum ki aag haraam kar di jaye gi Nauzubillah. dosto aisi koi bhi Hadees Aap S.A.W.W se sabit nahi agar aisi he bat hoti to aik insan jo sari zindagi gunaah karta raha hai aur apne Allah Taala ko naraz karta raha aur usnay koi naik kaam b nahi kiya to kya sirf wo ye man gharat jhoota SMS logon ko forward karne se jahanum se bach jaye ga?? yaqeenan nahin aur mujhe umeed hai aap ka jawab bhi nahi he hoga isliye aise SMS tehqeeq ke baad he share kiya karen aur agar aap ko nahi pata ke ye Islamic msg Quran ki ayat ya Hadees e Rasool (S.A.W.W) hai bhi ya nahin to phir jisne aap ko SMS bheja hai us say pochen agar usay bhi nahin pata to phir aap ko koi bhi Islamic SMS tehqeeq ke baghair forward nahi karna chahiye. Allah Taala sab ko amal ki taufeeq ata farmaye Aameen.

Friday, June 17, 2016

رمضان کے دوسرے عشرے کی دعا Ramzan Ke Dusre Ashra Ki Dua Ramadan Second Ashra Ki Dua Ramadan 2nd Ashra Prayer

Ramzan K Dosray Ashray Ki Dua Ramzan Ke Dosre Ashre Ki Dua Ramadan 2nd Ashra Dua In Arabic


Ramzan Second Ashra Dua Wallpapers




Ramadan Second Ashra Dua with Urdu Translation


اَسْتَغْفِرُ اللهَ رَبِّىْ مِنْ كُلِّ ذَنْۢبٍ وَّاَتُوْبُ اِلَيْهِ​


Ramzan Ul Mubarak Ke Dosray Ashray Ki Dua Arabic Urdu Tarjuma K Sath
Ramzan Kay Teesray Ashray Ki Dua Ramzan 2nd Ashra Dua


Share it as Sadqa e Jariya.

Saturday, June 11, 2016

Roze Ke Adaab Ramzan Ke Adaab Roze Ke Masail In Urdu Roza Rules And Regulation Roza Fasting In Urdu Roza Fasting Rules In Hindi

Ramadan Rules For Fasting Rozay Ke Adab Ramzan Ke Mahine Ke Adab

Ramadan Fasting Rules In Islam Roze Ke Adaab

Roza Ki Niyat :-

Roza dar ko chahiye ke wo roza ki niyat kare Jese ke Rasool (S.A.W.W.) ne hukam diya hai. (Tirimizi)
Niyat ke liye koi alfaz ya dua sabit nahin, niyat dil ke iraday ka naam hai.

Sehri Khana :-

Sunat e Nabvi (S.A.W.W) ki roo say sehri takheer se khani chahiye. (Bukhari)

Waijbat Ki Adayegi :-

Roza ka chutha adab ye hai ke insan Allah Taala ki taraf se nazil kardah wajibat ki pabandi kare.
Jin mein sab se pehla farz namaz hai. Roza dar ko chahiye ke namaz ki shart, arkaan, wajibat ka mukamal khyal rakhte hue namaz ada kare.

Iftar Mein Jaldi :-

Rozadar ko iftar mein jaldi karni chahiye. Rasool Allah (S.A.W.W) farmate hain ke Allah Taala ne farmaya: " Mujhe wo banday bohat mehboob hain jo iftar mein jaldi karte hain. "
(Musand Ahmad)

Mehrmat Se Ijtnab :-

Rozadar ko chahiye ke iss kam say bach jaye jin se Allah Taala ne mana farmaya hai.

Iftari Ke Waqat Ki Dua :-

Nabi (S.A.W.W.) farmate hain : " Iftari ke waqt ki gai dua zaror qabool hoti hai. "
(Ibn-e-Maja)

Shukar e Elahi :-

Rozadar ko chahiye ke wo roza rakhne ki taufeeq par Allah Taala ka shukar ada karta rahe.

Iftari Ki Dua in Arabic with Urdu Translation :-

ذَهَبَ الظَّمَأُ، وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ، وَثَبَتَ الْأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ

Tarjuma :- " Pyaas khatam ho gai, ragain tar ho gain aur insha Allah ajar sabit ho gaya. "

Roza Iftar Ki Dua In Arabic With Urdu Translation Roza Kholne Ki Dua In Urdu Iftar Ke Baad Ki Dua Iftar Ke Waqt Ki Dua Ki Fazilat

Roza Iftar Karne Ki Dua In Hindi Roza Iftar Ki Dua In Arabic

Roze ki waqt ki dua ki fazeelat ye hai ke Aap (S.A.W.W) ne irshad farmaya " Roza Dar ki iftar ke waqt ki dua rad nahi ki jati. " (Ibn e Maja)


Iftar ke waqt jo dua mashoor hai Allahumma inni laka sumtu is dua ka Koi bhi reference koi hawala kahin se bhi nahin milta ye baad mein logon ne khud tabdeel karke banai hai Asal Dua jo Sahih Hadees se sabit hai wo sirf ye hai.

Iftar Ke Baad Ki Dua Iftari Ki Dua With Urdu Translation


Roza Iftar Karne Ki Dua Sahih Hadees Ke Mutabiq Iftar Ki Dua Ramzan Ki Duyaen 

Roza Rakhne Ki Niyat : Roza Rakhne Ka Tarika Roza Ki Niyat Kya Roza Rakhne Ki Dua Hai?

Wednesday, June 8, 2016

Kin Logon Par Roza Farz Nahin? Pregnancy Kay Doran Aurat Roza Rakh Sakti Hai K Nahi Ya Doodh Pilane Wali Aurat Ya Haiza Orat Par Roza Farz Hai Ya Nahin?

Wo Log Jin Par Roza Farz Nahin Aisay Log Jin Ko Rozay Ki Rukhsat Di Gai Hai


Wo Log Jin Par Roza Farz Nahin

Fasting During Pregnancy In Islam In Urdu Fasting While Traveling In Ramadan Islam Q&A Fasting During Period Islam

Fasting Rules During Ramadan In Islam

1. Kafir par roza nahin agar doran e ramzan musalman ho jaye to guzishta rozon ki qaza is par nahin hai.

Roza Kab Farz Hota Hai?

Nabaligh:-


Nabaligh afrad roza farz nahin hai kyun k Nabi Kareem (S.A.W.W) farmaty hain : " 3 kisam ke logon par se qalam utha li gai hai. Soya hua insan hata ke wo jaag jaye. Chota bacha ke wo jawan ho jaye, majnoon hata ke wo sehat mand ho jaye. "
(Abu Dawood)
Yahan aik baat qabil e zikar hai ke Sahaba Karam (R.A) apne bachon ko roza rakhwate aur inhen apne saath masjid mein le jate aur inke khilone bhi sath le lete. Jab bachay bhook ki wajah se pareshan hote to wo khilone inke aagay rakh dete taa ke bache mashghool ho jaen isliye humein bhi apne bachon ko roza rakhne ki targheeb deni chahiye taa ke baligh ho jane ke baad inhen koi mushkil paish na aye.

Majnoon :-

Majnoon par roza farz nahin jis tarah pehle hadees mein guzar chuka hai kunki majnoon aadmi ko apne dimagh par control nahin wo to kisi bhi ibadat ki niyat tak nahin kar sakta.

Roza Rakhne Se Ajiz :-
Wo borha admi jo bilkul laaghir ho chuka hai aur iss mein roza rakhne ki sakt nahin hai. Isi tarah mareez par bhi roza nahin hai jo intehai laaghir aur kamzor ho chuka hai.
Farman e Elahi hai:
" Allah Taala kisi par iski taqat se zyada boojh nahin dalte ".
Magar wo har roz ke badla mein aik miskeen ko khana khilayen ge haan agar mareez ke sehat mand hone ki umeed ho to wo roza ki qaza ada kare ga.

Musafir :-

Musafir par bhi roza nahin hai safr khatam hone k baad iss ke zima qaza hai jesa ke Allah Ta'ala farmate hain : " Jo koi tum mein say mareez ya musafir ho to wo dusray ayaam mein ginti ko pora kare " (Surah Al Baqarah)
Safar mein roza rakhna bhi sabit hai. Hazrat Abu Saeed Khudri (R.A) farmate hain ke hum Nabi Kareem (S.A.W.W.) ke sath safar kiya karte thy, naa to  roza daar roza chodne walon ko aeb daar gardante thy aur naa he roza chodne walay roza daron par aib lagate thy.

Haiza Aurat :-

Haiza orat par bhi roza rakhna farz nahin hai. Hadees e Mubarka mein hai ke " Kya aisa nahi hai ke aurat ayaam mahwari mein ho to wo naa he namaz padhe gi aur na he roza rakhe gi, ye iske deen ka nuksan hai. " (Bukhari)

Hamla Aurat Ka Roza Rakhna Hamila Ya Doodh Pilane Wali Aurat :-

Wo orat jo hamil ho ya bachay ko doodh pilati ho aur roza rakhne ki sorat mein issay apni ya bache ki jan zaya hone ka khatra ho to iss par bhi roza farz nahi hai kyunki ye majboori ki halat hai aur Allah Ta'ala farmate hain :
" Allah Taala kisi jan par iski taqat sey zyada bojh nahi dalte. " Aur Nabi Akram (S.A.W.W.) ne mazkora dono aurton ko roza chodne ki rukhsat di hai. (Tirmizi)

Ramzan Ke Roze Ki Qaza In Urdu Qaza Roza Ka Tarika Qaza Of Roza Fidya For Missed Roza In Urdu Expiation For Not Fasting Ramadan

Missed Fasting During Ramadan Islam Q&A Expiation For Missed Fasts During Ramadan

Fidya For Missed Roza In Urdu

Rozay Ki Qaza Kya Hai?

Rozon Ki Qaza Missed Ramadan Fasts Ramzan Kay Rozay Ka Kaffara Roza Chornay Ke Masail



Mareez, musafir, haiza aurat aur nafaas wali aurat har choray hue rozay ki qaza de gi. Ye rozay ayenda ramzan se pehle pehle rakhne honge kyun ki Allah Taala ka farman hai :
" Reh jane wale rozon ki ginti pori karo Allah Taala tumhare liye asani chahte hain aur tangi ko pasand nahin farmate. " (Surah Al Baqarah)

Agar kisi aadmi par rozon ki qaza ho aur wo rozay rakhne se pehle faut ho jaye to iske wali ko chahiye ke matlooba rozay rakhe. Nabi Kareem (S.A.W.W.) ne irshad farmaya kay " Jab koi admi faut ho jaye aur iske zima rozon ki qaza ho to iske wali rozay rakhe. " (Sahih Muslim)

Sunday, June 5, 2016

Ramzan-Ul-Mubarak Ramzan Ki Fazilat Hadees Masail Wa Ahkam Roza Aur Us Ke Masail In Urdu

Ramzan-Ul- Mubarak Ke Fazail Ahadees aur Ahkamat 


Ramadan Emaan Ramzan Ke Masail aur Ahkaam


Mein neki ka ajar kai gunah zyada ho jata hai. Raghbat rakhny waly har insan ke liye bhalai ke tamam darwazy khuly howy milty hain. Isi babarkat mahiny mein Quran Majeed nazil howa. Is ka pehla hisa Rehmat,dosra maghfirat aur tisra jahannam se azadi ka hai. Abu Hurairah (R.A) farmaty hain ke Nabi (PBUH) ne farmaya:

Jab Ramzan ka mahina ata hai tuo jannat ke darwaze khol diye jaty hain,jaanam ke darwaze band kar diye jaty hain jab ke sheyateen ko zanjiro mein jakhar diya jata hai. (Muslim)

Ramzan-Ul-Mubarak Aur Panch Khasosiyat

Hazrat Abu Hurairah (R.A) farmaty hain ke Nabi Kareem (PBUH) ne in panch Khasosiyat ka zikar karty huway farmaya:
Meri umat ko Ramzan-Ul-Mubarak mein panch esi khasosiyat di gai hain jo pehly kisi bhi umat ke hisy mein nahi ayi.


Rozy ke munh ki boh Allah Tala ke ha mushq ki khushboo se zyada mayob hai.
Rozy daro ke liye farishty astaghfar karty hain hata ke wo roza iftar kar le.
Allah Talah rozana janat ko muzaiyan karty hai aur farmaty hain Mery nekh bando se anqareeb azmayesh khatam ho gi aur wo tery andar dakhil ho gai.
Sheyateen ko band kar diya jata hai, wo aam dino ki tarah logo ko gumrah nahi kar sakty.
Raat ke aakhri pehar logon ki bakhshish jati hai. (Musnad Imam Ahmed)
Rasool Kareem (PBUH) ne farmaya : jis ne iman aur ehtesab ke sath Ramzan-Ul-Mubarak ka qeyam kya us ke sabikha gunah muaf kar diya jaty hain. (Bukhari) Jab ke aik hadees mein qeyam ki jagha seyam (rozy rakhny ka zikar hai).

Roza Ki Fazilat


Roza gunahon ki bakhshish ka zariya hai. Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Nabi Kareem (PBUH) ne farmaya:

Jis ne iman aur ehtesab ke sath ramzan ke rozy rakhy tou us ke pichly gunah muaf kar diye jaty hain.
(Bukhari)

Hazrat Abu Hurairah se riwayat hai ke nabi Kareem (PBUH) ne farmaya:

Panchgani namaz aik se dosri tak, Jumah dosry jumah tak aur ramzan dosry ramzan tak gunah muaf karne ka sabab hai basharte ke kabirah gunah se bacha jaye. (Muslim)

Roza ki fazilat ye bhi hai ke is ka ajar o sawab la mehdood hai balky roza dar ko bagher hisaab ke ajar ata farmaya jaye gha. Hadees qudsi hai ke roza mere liye hai aur mein hi is ka badla doh ga. Roza dhal hai pas jo koi roza rakhy tuo wo fahash kamoh se baz rahy aur agar koi usy tang kary ya larhai kary tuo wo keh de ke mein rozay se hon. Is zaat ki qasam jis ke qabzy mein Muhammad(PBUH) ki jaan hai, Rozadar ke munh ki boh Allah Talah ko mushk ki khushboo se zyada pasandida hai aur roza dar ke liye do khushiya hain: Aik roza iftar karty howy aur dosri (rozy qayamat) Allah Rab-Ul-Alamin se milty howy. (Muslim)
Aur dosri hadees mein hai ke
Bani Aadam ke har nek aamal ko das gunah se le kar sath gunah tak barahya jata hai magar roza(ke sath ye mamla nahi) mere liye hai aur mein hi is ki jaza dohn ga kyun ke is (roza dar) ne meri wajha se khana peena chor rakha tha. (Muslim)