Wednesday, April 29, 2020

Roza Kholne Ki Dua With Urdu Translation افطار کی مسنون دعا Roza Kholne Ki Dua With Tarjuma Iftar Ke Waqt Mangne Ki Dua Iftar Ki Dua In Arabic Text

Iftar Ke Waqt Ki Dua In Hindi Roza Iftar Karne Se Pehle Ki Dua



افطار سے پہلے دعا کی  قبولیت کا وقت ہوتا ہے آپ کوئی بھی دعا مانگ سکتے ہیں اور روزہ افطار کرنے کے بعد جو دعا سنتِ نبویؐ سے ثابت ہے وہ درج ذیل ہے۔

روزہ کھولنے کے بعد کی دعا roza iftar karne ki dua
Roza Iftar Karne Kay Baad Ki Dua Roza

حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ يَحْيَى أَبُو مُحَمَّدٍ، حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ الْحَسَنِ، أَخْبَرَنِي الْحُسَيْنُ بْنُ وَاقِدٍ، حَدَّثَنَا مَرْوَانُ، – يَعْنِي ابْنَ سَالِمٍ – الْمُقَفَّعُ – قَالَ رَأَيْتُ ابْنَ عُمَرَ يَقْبِضُ عَلَى لِحْيَتِهِ فَيَقْطَعُ مَا زَادَ عَلَى الْكَفِّ وَقَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِذَا أَفْطَرَ قَالَ ‏ “‏ ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ ‏”‏ ‏. ~ Sunan Abi Dawud 2357

اردو ترجمہ:
پیاس ختم ہو گئی، رگیں تر ہو گئیں، اور ان شاءالله اجر ثابت ہو گیا""

Sunday, April 26, 2020

Roze Ki Halat Mein Biwi Se Humbistari Ka Kaffara Roze Ka Kaffara Kaise Ada Kare Roze Ki Halat Mein Biwi Se Milna In Urdu

Roza Ka Kaffara In Hindi Rozay Ka Kaffara In Urdu Roze Ki Halat Mein Jama Karna


روزہ کی حالت میں مباشرت
Roze Ki Halat Mein Humbistari Kar Sakte Hai Ya Nahi


Roze Mein Biwi K Sath Jamaa Karne Ka Kaffara Roze Ki Halat Mein Biwi Se Humbistari Karna


Syedna Abu Huraira R.A bayan karte hain k hum Nabi S.A.W.W ki khidmat mein thy k aik shakhs aya or kaha: Aye Allah k Rasool S.A.W.W main to tabah ho gaya. Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam ne pucha: kya baat hui hai? Usne kaha: Main ne roza ki halat mein apni biwi se jamaa kar liya hai. Is par Rasool Allah S.A.W.W ne pucha: Kya pay dar pay 2 mahine k roze rakh sakte ho? Usne kaha nahi. Phir Nabi S.A.W.W ne pucha: Kya tum 60 miskeeno ko khana khilane ki taqat rakhte ho?

Usne kaha: Nahi phir Nabi S.A.W.W thori dair k liye thehar gaye' hum bhi apni ussi halat mein bethe hue thy k Aap S.A.W.W ne pucha: Sayel kahan hai? usne kaha: hazir hoon. Aap S.A.W.W ne farmaya: Isay lo aur sadqa kar do. Usne kaha: Ay Allah k Rasool S.A.W.W main apne se zyada mohtaj par bharosa kar dun is par Nabi S.A.W.W is qadar hansy k Aap S.A.W.W k agay k daant mubarak dekhe ja sakte thy phir Aap S.A.W.W ne farmaya: Acha jao, isay apne sath le jao aur apne ghar walon ko bhi khilao.

حدیث کا حوالہ: بخاری- کتاب الصوم باب اذا جامع فی رمضان (7935) مسلم- کتاب الصیام- باب تغلیظ تحریم الجماع فی نھار رمضان (1112)

Roze Ki Halat Mein Biwi Se Milap Karna Roze Ka Kaffara Kitna Hai Qaza Roze Ka Kaffara Roze Ka Fidya Kitna Hai


"Syeda Ayesha R.A bayan karti hain k aik shakhs Aap S.A.W.W ki khidmat mein hazir hua aur arz ki k main dozakh mein jal gaya. Aap S.A.W.W ne pucha: Kya bat hai? usne kaha: Ramzan mein main ne roze ki halat mein apni biwi se humbistari kar li thori der bad mein Aap S.A.W.W mein aik khajoor ka thela jis ka naam arq tha aya to Aap S.A.W.W ne farmaya: dozakh mein jalne wala kahan hai? usne kaha: Hazir hoon! to Aap S.A.W.W ne farmaya: Isko lo aur sadqa kar do."
حدیث کا حوالہ: بخاری- کتاب الصوم باب اذا جامع فی رمضان ولم لہ شئ (1934) مسلم- کتاب الصیام- باب تغلیظ تحریم الجماع فی نھار رمضان (1111)

Roze Ki Halat Mein Ulti Hona Roze Ki Halat Mein Ehtelam Ho Jana Roze Ki Halat Mein Mani Ka Nikalna Roze Ki Halat Mein Khoon Nikalna

Roze Ki Halat Mein Ulti Aana Agar Roze Ki Halat Mein Ehtelam Ho Jaye To Kya Karen?


روزے کی حالت میں خون دینا روزے کی حالت میں احتلام
روزے کی حالت میں مختلف امور کے بارے میں کیا حکم ہے؟

Kya ehtelam, jism se khoon niklne aur olti yani qay se roza fasad ho jata hai?

روزے کی حالت میں احتلام Roze Ki Halat Me Mani Ka Nikalna


Sawal: Main ne roza rakha tha aur masjid mein so gaya. Jab bedar hua to mujhe maloom hua k mujhe ehtalam hua hai kay ehtelam roza par asar andaz hota hai? Ye khayal rahe main ne ghusl nahi kiya aur nahane k baghair he namaz ada kar li.

Fatwa: Ehtelam se roza fasad nahi hota kyon ki ye bande k bas ki bat nahi lekin jab mani nikle to is par ghusl e janabat lazim hai. Kyon ki Nabi S.A.W.W se is baray mein pucha gaya to Aap S.A.W.W ne farmaya k jab ehtelam wala pani yani mani dekhe to us par ghusl wajib hai.

حوالہ: ابو داؤد- کتاب الطھارۃ- باب فی الرجل یجد البلتہ فی منامتہ (234) ترمذی کتاب الطھارۃ باب ما جاء فیمن یستیقط فیری بلا (113) ابن ماجہ کتاب الطھارۃ باب من احتلم ولم یربللا (412)

Ye jo aap ne bila ghusl namaz ada ki ye aap se ghalti hui hai aur bohat buri baat hai ab aap par lazim hai k is namaz ko dohrayen aur Allah Subhana Wa Taala se tauba bhi karen.

Sawal: Aik dafa yun hua k mujhe sir mein pathar laga jis se mere sir se khoon beh nikla kya khoon behne ki wajah se mera roza toot gaya?

Roze Ki Halat Mein Khoon Dena روزے کی حالت میں خون نکلوانا


Fatwa: Jo pathar aap k sir par laga jis se khoon beh nikla to is say aap ka roza batil nahi hoga.

Sawal: Kya olti yani qay aane se roza fasad ho jata hai ya nahi?

روزے کی حالت میں قے Roze Ki Halat Mein Ulti Hona


Fatwa: Jo qay aap k andar se nikli yani ulti aap k jism se bahir nikli is mein bhi aap ka kuch ikhtiyar na tha lehaza aap ka roza batil nahi hua kyon ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya hai:
Jise be ikhtiyar qay aai us par roza ki qaza nahi aur jis ne amdan qay ki yani jaan bojh kar ulti ki us par qaza hai.

حوالہ: ابو داؤد-کتاب الصیام- باب الصائم یستقی عامدا (2380) ترمذی- کتاب الصوم- باب ما جاء فیمن استقاء عمداً (820) ابن ماجہ- کتاب الصیام باب ما جاء من الصائم یقئی (1276)

Is hadees ko Ahmad aur Ahl e Sunan ne asnaad e sahih k sath riwayat kiya hai.

Saturday, April 25, 2020

Roze Mein Nakhun Katna Chahiye Ya Nahi? روزے کی حالت میں ناخن کاٹنا Can We Cut Nails While Fasting In Ramadan

Roze Ki Halat Mein Nakhun Kaat Sakte Hain Ya Nahin?


roze mein nakhun kar sakte hain
Roze Ki Halat Mein Nakhun Katna Kaisa روزہ کی حالت میں ناخن کاٹنا

Roze Ki Halat Mein Nakhun Katna Jaiz Hai


Roze ki halat mein nails katna Roze ki halat mein nakhun katna jaiz hai. Roze k doran hath ya pair k nakhun tarashne se roza nahi toot ta isliye aap roze mein apne nails kaat sakte hain.

سوال: کیا روزے کی حالت میں ناخن کاٹے جا سکتے ہیں؟

:جواب

روزے کی حالت میں ناخن کاٹنے کی اجازت ہے ناخن کاٹنے سے روزہ مکروہ نہیں ہوگا ناخن کاٹنے سے روزہ نہیں ٹوٹتا آپاپنے ہاتھ یا پیروں کے ناخن تراش سکتے ہیں۔

Q. Can you cut your nails while fasting in Ramadan?


Ans. Yes, you can cut your finger or toe nails while your are in fasting you can cut nails.

Wednesday, April 15, 2020

Roza Rakhne Ki Niyat Bandhne Ka Tarika Roze Ki Niyat Karne Ka Tarika Roza Rakhne Ki Dua Roza Rakhne Ka Waqt

Roza Ki Niyat Kaise Bante Hain Roza Rakhne Ke Liye Kya Karna Chahiye


roza rakhne ki niyat ki dua in urdu
Roza Rakhne Ke Ahkam Roza Rakhne Ki Niyat Roza Kaise Rakhe


Roza Rakhne Ka Sahi Tarika Roza Rakhne Se Pehle Ki Dua

Assalam o Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh,

Aaj hum ramzan mein rozon ki niyat k baray mein baat karenge islam mein niyat ki bohat ahmiyat hai insan jaisi niyat karta hai usko ajar o sawab bhi usi k mutabiq he diya jata hai Imam Bukhari Rahimahullah ne Sahih Bukhari mein jo pehli Hadees naqal ki hai wo niyat he k baare mein hai.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne farmaya:

إنَّما الأعمالُ بالنيَّات، وإنّما لِكُلِّ امرِئٍ ما نَوى

Urdu Tarjuma:- Tamaam amaal ka daromadar niyat par hai aur har amal ka natija har insan ko us ki niyat k mutabiq he milega.


Jesa k aap sab jante hain k Ramzan 2020 taqreeban shuru hone wala hai aur aur Pakistan mein pehla roza kis din hai ye janne ke liye aap meri post Ramadan 2020 First Ramzan Date in Pakistan mein lazmi parhen. Ramzan k rozon k liye niyat karna lazmi hai kyon ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne farmaya: " Jisne roze ki niyat Fajar se pehle nahin ki uska roza nahin "


lekin kya niyat zuban se ki jati hai? hargiz nahi, niyat ka taluq dil se hai niyat dil k iraday ka naam hai. Arabic language ki maroof lughat ki kitab "Lisanul Arab" mein Allama Ibn e Manzoor Noon, Wao, Yaa k maday k tehat niyat k baray mein likhte hain: 
" Amlul Qalab " yani ye dil ka amal hai.

Niyat Kise Kahte Hai Niyat Ka Matlab Kya Hota Hai Roze Ki Niyat Kya Hoti Hai

Kisi kaam karne ka dil se pukhta irada karna isko niyat kehte hain jab aap ne raat ko ye irada kar liya k main agle din roza rakhunga to ye niyat ho gayi jab aap ne roze k irade se sehri kar li to yehi niyyat hai. Goya k niyat dil ka amal hai na k zuban ka balke niyat k alfaz ka ada karna Bidat hai hum aksar dekhte hain ramzan k calendars par aur social media par ye dua likhi hoti hai
"Wabi saumi ghadin nawaitu min shahri ramadan" yani main ne ramzan k kal k roze ki niyat ki.

na to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam se is qisam ki koi dua parhna sabit hai na he aisi dua Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne hamen sikhayi yaad rakhen k tamam  ibadaat tokhifi hain in mein hum apni marzi se koi cheez dakhil nahin kar sakte.
Ab baat karte hain niyat k waqt k taluq se ramzan k rozon ki niyat raat k kisi bhi hissay mein ki ja sakti hai Sharai lehaz se raat maghrib k waqt shuru hoti hai aur Fajar k waqt khatam ho jati hai. Fajar se pehle pehle niyat ka kar lena kafi hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne farmaya: Jis ne roze ki niyat raat he mein na ki to uska roza nahin"


Aap har roze k liye alag se raat he mein niyat kar lain ya phir iski dusri surat ye hai aap mahine k shuru mein pure ramzan k liye niyat kar lain aur agar ramzan mein rozon ka tasalsul munqata ho jaye bimari ki wajah se ya kisi Sharai uzar ki wajah se to uzar pura hote he phir se niyat kar lain. Albata agar nafli rakhne hoon ramzan k baad to iske liye  niyat din mein bhi ki ja sakti hai.

Umm ul Momineen Ayesha R.A farmati hain k aik din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam mere paas aye aur farmaya kya tumhare pass kuch khane k liye hai main ne kaha kuch nahi hai, Aap Sallallahu Alaihi Wallahi Wasallam ne farmaya to phir main roze se hun.

Agar koi insan so k uthe aur usne kuch khaya piya na ho to nafli roze k liye wo din mein bhi niyat kar sakta hai ye thi kuch aham baatein roze ki niyat k taluq se Allah Ta'ala se dua hai k wo humein is ramzan se bharpur fayda uthane ki aur apne gunahon ki maafi mangne ki taufeeq de aameen.

Wassalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuh

Monday, April 13, 2020

Pehla Roza Kab Hai 2020 Pakistan Ramzan Ka Pehla Roza Kab Hoga Calendar, Timings, Date, Sehri, Iftari

First Ramadan Date 2020 In Pakistan  Pakistan Mein Pehla Roza Kab Hai

ramadan 2020 date pakistan
Ramadan Mubarak 2020 Pakistan Date Month

PAKISTAN RAMADAN TIMINGS (SEHRI & IFTAR)




Pakistan Ramadan Time consists Ramadan Calendar and Timetable 2020 for all cities of Pakistan including Lahore, Karachi, Islamabad, Rawalpindi, Faisalabad, Gujranwala, Peshawar, Multan, Hafizabad, Arifwala, Shorkot, Wazirabad, Gakkhar, Hyderabad, Gujrat, Sargodha, Swat, Nowshera, Toba Tek Singh, Taxila, Gwadar, Mianwali, Mandi Bahauddin,  Chakwal, Sialkot, Chiniot, Sahiwal, Attock, Kotli, Dera Ghazi Khan, Sukkur, Quetta, Mardan, Jhelum, Kharian, Daska, Naran, Kaghan, Nathiagali, Gilgit, Dadu, Ghotki, Bannu, Bhimber, Burewala, Abbottabad, Rahim Yar Khan, Sheikhupura, Kasur, Bahawalpur, Khushab, Sambrial, Haroonabad Vehari, Pakpattan, Nankana Sahib, Gojra, Muridke, Sadiqabad, Kamalia, Kot Addu, Ahmedpur, Bhalwal, Bhakkar Dera Ismail Khan, Chishtian, Samundri, Bahawalnagar, Khanpur, Kabirwala, Lodhran, Haripur, Kohat, Jaranwala, Jhang, Okara, Larkana, Layyah, Khanewal, Hasilpur, Chunian, Narowal, Murree, Sanghar, Ferozepur, Muzaffargarh, Matiari, Mansehra, Mailsi, Loralai, Swabi, Talagang, Wah, Thattha, Sibbi, Umerkot, Tharparkar, Jamshoro,  and other cities. Ramadan Sehri Time and Iftar Time includes for date 13 April, 2020 of Karachi Sehri Time 04:52 am and Iftar Time 06:54 pm, Lahore Sehri Time 04:11 am and Iftar Time 06:31 pm, Islamabad Sehri Time 04:11 am and Iftar Time 06:38 pm. Fasting schedule as 30 Days Ramadan Calendar can be viewed here.

Pehla Roza Kis Tarikh Ko Hai 2020 Islamic Calendar 2020 Ramadan Pakistan

pakistan mein pehla roza kab hoga
1st Ramadan 2020 in Pakistan Calendar
Pakistan mein pehla roza 24 April, 2020 Friday ko mumkin hai umeed hai yani Jummay walay din April ki 24 Tarikh ko 1st ramzan hoga jisay yakam ramzan bhi kehte hain. Inn'shaa'Allah. Umeed hai is dafa bhi Ramzan ki tayariyan urooj par hongi aur innsha'Allah Coronavirus k doran bhi sab Musalman rozay rakhenge hum Allah Taala se dua karte hain kay Ramzan 2020 mein hamein Namaz e Taraweeh parhne ka aur saray rozay rakhne ki taufeeq ata farmaye. Aameen

Expected 1st Ramadan 2020 In Pakistan 2020 Mein Ramzan Kab Shuru Hoga?

Ramzan Ki aamad aamad hai lekin kya is bar ramzan wesa he guzre ga jesa k hum pichle kai saalon se guzartay aa rahe hain yaqeenan kafi logon k zehan mein ye sawal zaror aya hoga aur ana bhi chahiye kyon ki Mah e Ramzan Musalmano ka sab se babarkat mahina hai jis mein log barh charh kar ibadat karte Namaz parhne masajid mein jate hain rozay rakhte hain sadqa o khairat karte aur zakat dete nazar aate hain. Pakistan mein Sehr aur Iftar ki timings bhi jaldi he isi website par upload ki jayengi tab tak aap latest malomat k liye visit karte rahen. Shukriya